Din Ka Samay Hai, Chauk Kuen Ka Aur Bankon Ke Jal

din ka samay hai, chauk kuen ka aur bankon ke jal

aise mein nari tu ne chali phir titari wali chaal

jamunon wale des ke laDke, TeDhe un ke taur

pankh TaTolen tutiyon ke wo, phir kar har har Dal

wo shaKHs amar hai, jo piwega do chandon ke nur

us ki aankhen sada gulabi jo dekhe ek lal

sham ki ThanDi rut ne bhare hain aab-e-hayat se nain

mongron wale bagh ne oDhi gahri kasni shaal

(684) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Din Ka Samay Hai, Chauk Kuen Ka Aur Bankon Ke Jal In English By Famous Poet Ali Akbar Natiq. Din Ka Samay Hai, Chauk Kuen Ka Aur Bankon Ke Jal is written by Ali Akbar Natiq. Read famous Poem Din Ka Samay Hai, Chauk Kuen Ka Aur Bankon Ke Jal for youth and Student by Ali Akbar Natiq. Free Download Din Ka Samay Hai, Chauk Kuen Ka Aur Bankon Ke Jal in PDF.