Dil Ke Dagh Mein Sisa Hai Aur ZaKHm-e-jigar Mein Tanba Hai
dil ke dagh mein sisa hai aur zaKHm-e-jigar mein tanba hai
itna bhaari sina le kar shaKHs aawara phirta hai
kanch ke reze tez hawa mein bawle uDte phirte hain
nange badan ki chandni se phir tara tara girta hai
aadhe peD pe sabz parinde aadha peD aasebi hai
kaise khule ye ram-kahani kaun sa hissa mera hai
kale dewta muTThi bhar bhar sune gharon mein phenkte hain
kohr-zada basti ke chauk mein rakh ka uncha Tila hai
sard shabon ka pochhne walo in raaton ke tare dur
dhundle chand ki nabzen gungi aag ka chehra nila hai
piplon wali galiyan ujDi Dher hain pile patton ke
samne wali surKH haweli mein bhuton ka Dera hai
(797) Peoples Rate This