Hijr Bana Aazar Safar Kaise KaTta

hijr bana aazar safar kaise kaTta

ishq ke rog hazar safar kaise kaTta

dhup ka bojh saron par aaKHir aan gira

KHatm hue ashjar safar kaise kaTta

kya batlaen apni KHali jholi mein

sansen thin do-chaar safar kaise kaTta

dekhte dekhte nazron se madum hue

raston ke aasar safar kaise kaTta

pichhe behis din ke KHauf tha aur aage

raat ki thi diwar safar kaise kaTta

apna bojh uTha kar apne kandhon par

chalna tha dushwar safar kaise kaTta

aankhen thin viran nazar kaise aata

dil to tha bimar safar kaise kaTta

nange panw dhup mein chalte rahne ki

koshish thi bekar safar kaise kaTta

kuchh to jazire binai se ojhal the

naw thi be-patwar safar kaise kaTta

ek duje ke sang aDi thin sab kunjen

TuT gai phir Dar safar kaise kaTta

(671) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hijr Bana Aazar Safar Kaise KaTta In English By Famous Poet Ali Akbar Mansoor. Hijr Bana Aazar Safar Kaise KaTta is written by Ali Akbar Mansoor. Read famous Poem Hijr Bana Aazar Safar Kaise KaTta for youth and Student by Ali Akbar Mansoor. Free Download Hijr Bana Aazar Safar Kaise KaTta in PDF.