Talash-e-aKHar
aao aaj se hum bhi
KHauf KHauf ho jaen
KHauf bhi to nashsha hai
KHauf bhi to quwwat hai
KHauf ke liye bhi to
jaan ki zarurat hai
aao apni taqat ko
hum bhi aazma dekhen
KHauf KHauf ho jaen
KHud-numai ke tewar
Dhang parda-dari ke
ham-nawai ke dawe
rang dushmani ke sab, KHauf ki alamat hain
qurbaton ki KHwahish mein
sar-giraniyan kya kya
duriyon ke haq mein bhi
marke dalael ke
ek aankh lazzat hai
ek aankh wahshat hai
hum ne donon aankhon se
koi shai nahin dekhi
aao donon aankhon ko
band kar ke rakh chhoDen
aur phir koi bhi shai
soch len ki aisi hai
KHauf KHauf ho jaen
(1121) Peoples Rate This