Dhund
musafiron se kaho aasman ko mat dekhen
na koi abr ka TukDa
na koi tar-e-shafaq
guzashta sham ka uTTha hua wo gard-o-ghubar
abhi talak hain fazaen usi se aaluda
wo ek aag kabhi zad-e-rah thi apna
jahan qayam kiya tha
wahin pe chhoD aae
to ahl-e-qafila
ab dastan-go se kaho
koi riwayat-e-kuhna koi hikayat-e-nau
jo KHun ko sard kare
aur soch bikhra de
ki aaise waqt mein KHamoshiyan to Thik nahin
(977) Peoples Rate This