Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_2983cca8ac76db34ee35871e4e41cbfc, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Main Apne Waqt Mein Apni Rida Mein Rahta Hun - Ali Akbar Abbas Poetry In English - Darsaal

Main Apne Waqt Mein Apni Rida Mein Rahta Hun

main apne waqt mein apni rida mein rahta hun

aur apne KHwab ki aab-o-hawa mein rahta hun

kabhi zamin kabhi sair-gah-e-mah-o-nujum

kabhi main aks-e-nazar-ashna mein rahta hun

samaaton par utarta hun misl-e-saut-e-yaqin

dilon ke wahima-e-barmala mein rahta hun

main uDti gard hun ahl-e-hunar ke teshe ki

aur ahl-e-dard ki bhi KHak-e-pa mein rahta hun

main ek faqir-e-KHuda-mast barsar-e-duniya

jamal-e-yar ki hairat-sara mein rahta hun

(1071) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main Apne Waqt Mein Apni Rida Mein Rahta Hun In English By Famous Poet Ali Akbar Abbas. Main Apne Waqt Mein Apni Rida Mein Rahta Hun is written by Ali Akbar Abbas. Read famous Poem Main Apne Waqt Mein Apni Rida Mein Rahta Hun for youth and Student by Ali Akbar Abbas. Free Download Main Apne Waqt Mein Apni Rida Mein Rahta Hun in PDF.