Kabhi Sar Pe ChaDhe Kabhi Sar Se Guzre Kabhi Panw Aan Gire Dariya
kabhi sar pe chaDhe kabhi sar se guzre kabhi panw aan gire dariya
kabhi mujhe baha kar le jae kabhi mujh mein aan bahe dariya
gata hun mere sur mein sur mil jae us ki lahron ka
meri aankh mein aansu dekhe to phir apni aankh bhare dariya
main apni use sunata hun wo apni mujhe sunata hai
main chup to wo bhi chup hai aur main kahun to baat kahe dariya
kahin barf lapeTe baiTha hai kahin ret bichha kar leTa hai
kabhi jangal mein Dera Dale kabhi basti aan base dariya
ai dariya! tera paT baDa, ai dariya! tera zor baDa
ai dariya! gum ho kar tujh mein qatre ka nam paDe dariya
ai shaer! tera dard baDa ai shaer! teri soch baDi
ai shaer! tere sine mein is jaisa lakh bahe dariya
(941) Peoples Rate This