Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_82f5b99c38fcc6a85f5e1e1c9fccdb7a, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Ghubar-e-nur Hai Ya Kahkashan Hai Ya Kuchh Aur - Ali Akbar Abbas Poetry In English - Darsaal

Ghubar-e-nur Hai Ya Kahkashan Hai Ya Kuchh Aur

ghubar-e-nur hai ya kahkashan hai ya kuchh aur

ye mere chaaron taraf aasman hai ya kuchh aur

jo dekha arsh-e-tasawwur se barha socha

ye kaenat bhi aks-e-rawan hai ya kuchh aur

main khoe jata hun tanhaiyon ki wusat mein

dar-e-KHayal dar-e-la-makan hai ya kuchh aur

firaq-e-umr ki had kyun lagai hai us ne

mera wajud hi us ko giran hai ya kuchh aur

azal se ta-ba-abad jast ek saat ki

yahi bas arsa-e-kar-e-jahan hai ya kuchh aur

(972) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ghubar-e-nur Hai Ya Kahkashan Hai Ya Kuchh Aur In English By Famous Poet Ali Akbar Abbas. Ghubar-e-nur Hai Ya Kahkashan Hai Ya Kuchh Aur is written by Ali Akbar Abbas. Read famous Poem Ghubar-e-nur Hai Ya Kahkashan Hai Ya Kuchh Aur for youth and Student by Ali Akbar Abbas. Free Download Ghubar-e-nur Hai Ya Kahkashan Hai Ya Kuchh Aur in PDF.