Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_b8ed1fdfcb7e7b882fb59727ececb8fc, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Dekhne Mein Lagti Thi Bhigti SimaTti Raat - Ali Akbar Abbas Poetry In English - Darsaal

Dekhne Mein Lagti Thi Bhigti SimaTti Raat

dekhne mein lagti thi bhigti simaTti raat

phailti gai lekin bund bund baTti raat

titliyan pakaDne ka aa gaya zamana yaad

tez tez baDhte hum dur dur haTti raat

kyun pahaD jaisa din KHak mein mila Dala

pahle soch lete to gard mein na aTti raat

pyar se kiya ruKHsat ek ek sitare ko

chha rahi phir aankhon mein aasman se chhaTti raat

ek sada ki surat hum is hawa mein zinda hain

hum jo raushni hote hum pe bhi jhapaTti raat

(951) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dekhne Mein Lagti Thi Bhigti SimaTti Raat In English By Famous Poet Ali Akbar Abbas. Dekhne Mein Lagti Thi Bhigti SimaTti Raat is written by Ali Akbar Abbas. Read famous Poem Dekhne Mein Lagti Thi Bhigti SimaTti Raat for youth and Student by Ali Akbar Abbas. Free Download Dekhne Mein Lagti Thi Bhigti SimaTti Raat in PDF.