Bosida KHadshat Ka Malba Dur Kahin Dafnao
bosida KHadshat ka malba dur kahin dafnao
jismon ki is shahr-e-panah mein taza shahr basao
sare jism ka resha resha soch ki quwwat pae
phir har sans ka hasil chahe sadiyon par phailao
apna aap nahin hai sab kuchh apne aap se niklo
badbuen phaila deta hai pani ka Thahrao
muddat se kyun chaT rahe ho lafzon ki diwaren
sine mein maKHfi KHakon ki wazeh shakl banao
apna apna kafan utaren lashen uDti jaen
pyasi zaban nikale dharti chaTe apne ghao
(1053) Peoples Rate This