Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_a5226b8bbd2012f1cd1d7d0671157f40, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Lai Hai Kis Maqam Pe Ye Zindagi Mujhe - Ali Ahmad Jalili Poetry In English - Darsaal

Lai Hai Kis Maqam Pe Ye Zindagi Mujhe

lai hai kis maqam pe ye zindagi mujhe

mahsus ho rahi hai KHud apni kami mujhe

dekho tum aaj mujh ko bujhate to ho magar

kal DhunDhti phiregi bahut raushni mujhe

tai kar raha hun main bhi ye rahen salib ki

aawaz ai hayat na dena abhi mujhe

sukhe shajar ko phenk dun kaise nikal kar

deta raha hai saya shajar jo kabhi mujhe

kyun kar rahi hai mujh se sawalat zindagi

kah do jawab ki nahin fursat abhi mujhe

kya chahta tha waqt pe likhna na puchhiye

hurmat qalam ki apni bachani paDi mujhe

dil-dariyan bhi rah gain parde mein ai 'ali'

lahja badal badal ke sada di gai mujhe

(789) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Lai Hai Kis Maqam Pe Ye Zindagi Mujhe In English By Famous Poet Ali Ahmad Jalili. Lai Hai Kis Maqam Pe Ye Zindagi Mujhe is written by Ali Ahmad Jalili. Read famous Poem Lai Hai Kis Maqam Pe Ye Zindagi Mujhe for youth and Student by Ali Ahmad Jalili. Free Download Lai Hai Kis Maqam Pe Ye Zindagi Mujhe in PDF.