Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_efe5f1b36e8cf4e276bc3b1fba608318, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Gham Se Mansub Karun Dard Ka Rishta De Dun - Ali Ahmad Jalili Poetry In English - Darsaal

Gham Se Mansub Karun Dard Ka Rishta De Dun

gham se mansub karun dard ka rishta de dun

zindagi aa tujhe jine ka saliqa de dun

be-charagi ye teri sham-e-ghariban kab tak

chal tujhe jalte makanon ka ujala de dun

zindagi ab to yahi shakl hai samjhaute ki

dur haT jaun teri rah se rasta de dun

tishnagi tujh ko bujhana mujhe manzur nahin

warna qatre ki hai kya baat main dariya de dun

li hai angDai to phir hath uTha kar rakhiye

Thahariye main use lafzon ka labaada de dun

ai mere fan tujhe takmil ko pahunchana hai

aa tujhe KHun ka main aaKHiri qatra de dun

suraj aa jae kisi din jo mere hath 'ali'

ghonT dun raat ka dam sab ko ujala de dun

(1071) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gham Se Mansub Karun Dard Ka Rishta De Dun In English By Famous Poet Ali Ahmad Jalili. Gham Se Mansub Karun Dard Ka Rishta De Dun is written by Ali Ahmad Jalili. Read famous Poem Gham Se Mansub Karun Dard Ka Rishta De Dun for youth and Student by Ali Ahmad Jalili. Free Download Gham Se Mansub Karun Dard Ka Rishta De Dun in PDF.