Ek KhiDki Gali Ki Khuli Raat Bhar
ek khiDki gali ki khuli raat bhar
muntazir jaane kis ki rahi raat bhar
hum jalate rahe apne dil ke diye
tirgi qatl hoti rahi raat bhar
meri aankhon ko kar ke ata ratjage
meri tanhai soti rahi raat bhar
ek KHushbu daraazon se chhanti hui
dastaken jaise deti rahi raat bhar
dil ke andar koi jaise chalta raha
chap qadmon ki aati rahi raat bhar
ek tahrir jo us ke hathon ki thi
baat wo mujh se karti rahi raat bhar
ek surat 'ali' thi jo jaan-e-ghazal
mere sheron mein Dhalti rahi raat bhar
(967) Peoples Rate This