Nazm Takmil
kahin pe dur kisi ajnabi si ghaTi mein
kisi ka ek hasin shahkar ho jaise
musawwiri ki ek umda misal lagti thi
koi inayat-e-parwar-digar ho jaise
ye zindagi ki har ek rang se thi begani
KHayal o KHwab ki baaton se thi wo anjaani
banane wale ne us ko bana ke chhoDa tha
aur us ke chehre pe ek nam likh ke chhoDa tha
na di zaban na koi aaina diya us ko
bana ke but yun zamin par saja diya us ko
use zamane ki baaton se kuchh gila hi na tha
siwae jism ke ehsas kuchh mila hi na tha
phir ek roz kisi narm narm jhonke ne
kaha ye kan mein aa kar bahut hi chupke se
zara sa aankhon ko kholo to tum ko dikhlaun
mahakti zindagi kaise hai tum ko sikhlaun
kahan se aai ho kab se yahan khaDi ho tum
mere wajud ke har rang se juDi ho tum
ye gungunati hui wadiyan ye gul-kari
nadi ki jhumti gati hui ye kilkari
ye dhup chhanw ke baadal ye maKHmali ehsas
machal rahe hain bahut pyar se tumhaare pas
mahakte dil hain yahan KHushbu-e-mohabbat se
KHuda ke nur se paida hui hararat se
hawa ka jhonka jo kanon mein us ke bol gaya
to us ne chaunk ke palkon ko apni khol diya
ye wadiyon ka hasin rang us ne jab dekha
hui ye soch ke hairan us ne ab dekha
badan mein jitne the ehsas wo machalne lage
nazare us ki nigahon ke sath chalne lage
ye rang o nur ke qisse samajh mein aane lage
hasin aankhon mein kuchh KHwab jhilmilane lage
aur aise ho ke mukammal wo husn ki murat
kisi ke pyar ki KHushbu se ban gai aurat
(879) Peoples Rate This