Ye Kis Muhim Par Chale The Hum Jis Mein Raste Pur-KHatar Na Aae
ye kis muhim par chale the hum jis mein raste pur-KHatar na aae
hamein nawaza na wahshaton ne hamein junun ke hunar na aae
mujhe bahut tez dhup darkar hai mohabbat ke is safar mein
chamakte suraj ko saya karne koi ghanera shajar na aae
andheri shab ka ye KHwab-manzar mujhe ujalon se bhar raha hai
ye raat itni tawil kar de ki ta-qayamat sahar na aae
jahan hun teri hi raunaqen aur tere nazare hi chaaron jaanib
us anjuman ka pata bata de jahan se meri KHabar na aae
jo lauT aae koi safar se to phir musafir kahan hua wo
wahi musafir hai jo safar mein hai aur kabhi lauT kar na aae
wo aasmanon mein rahne wala sunega ek din 'alina' teri
sada ko apni buland rakh tu dua mein jab tak asar na aae
(1151) Peoples Rate This