Mausam-e-gul Par KHizan Ka Zor Chal Jata Hai Kyun

mausam-e-gul par KHizan ka zor chal jata hai kyun

har hasin manzar bahut jaldi badal jata hai kyun

yun andhere mein dikha kar raushni ki ek jhalak

meri muTThi se har ek jugnu nikal jata hai kyun

raushni ka ek musafir thak ke ghar aata hai jab

to andhera mere suraj ko nigal jata hai kyun

tere lafzon ki tapish se kyun sulag uThti hai jaan

sard-mehri se bhi teri dil ye jal jata hai kyun

ab ke jab lauTega wo to fasla rakkhenge hum

ye irada us ke aate hi badal jata hai kyun

dur hai suraj 'alina' phir bhi us ki dhup se

barf ki chadar mein lipTa tan pighal jata hai kyun

(1265) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mausam-e-gul Par KHizan Ka Zor Chal Jata Hai Kyun In English By Famous Poet Aleena Itrat. Mausam-e-gul Par KHizan Ka Zor Chal Jata Hai Kyun is written by Aleena Itrat. Read famous Poem Mausam-e-gul Par KHizan Ka Zor Chal Jata Hai Kyun for youth and Student by Aleena Itrat. Free Download Mausam-e-gul Par KHizan Ka Zor Chal Jata Hai Kyun in PDF.