Junun Mein Daman-e-dil Garche Tar Tar Hua
junun mein daman-e-dil garche tar tar hua
magar ye jashn sar-e-kucha-e-bahaar hua
har ek sajde mein dil ko tera KHayal aaya
ye ek gunah ibaadat mein bar bar hua
sameT li hain mohabbat ne sari parwazen
dil-o-dimagh mein kaisa ye intishaar hua
nahin bujhaya hawaon ne pahli bar charagh
ye saneha to mere sath bar bar hua
kisi ke waste taswir-e-intizar the hum
wo aa gaya pa kahan KHatm intizar hua
andheri shab ke muqaddar mein ek sawera tha
ye raaz mujh pe dam-e-subh aashkar hua
jo tujh mein Dub ke dekha to pa liya KHud ko
'alina' yun mera phir mujh pe iKHtiyar hua
(872) Peoples Rate This