Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_9bb6178c26a5a9c8a0670abb763c82c0, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Ajnabi Sa Ek Sitara Hun Main Sayyaron Ke Bich - Aleena Itrat Poetry In English - Darsaal

Ajnabi Sa Ek Sitara Hun Main Sayyaron Ke Bich

ajnabi sa ek sitara hun main sayyaron ke bich

ek juda kirdar hun apne hi kirdaron ke bich

phir rahi hun be-sabab pagal hawa si ja-ba-ja

dhund mein lipTe hue KHamosh kohsaron ke bich

is hisar-e-KHak ko jab toD kar niklungi main

DhunDte rah jaoge tum mujh ko diwaron ke bich

kuchh kaDe Takrao de jati hai aksar raushni

jun chamak uThti hai koi barq talwaron ke bech

shakl ye behtar hai lekin puKHtagi ke waste

aao miTi ko rakhen kuchh der angaron ke bich

(952) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ajnabi Sa Ek Sitara Hun Main Sayyaron Ke Bich In English By Famous Poet Aleena Itrat. Ajnabi Sa Ek Sitara Hun Main Sayyaron Ke Bich is written by Aleena Itrat. Read famous Poem Ajnabi Sa Ek Sitara Hun Main Sayyaron Ke Bich for youth and Student by Aleena Itrat. Free Download Ajnabi Sa Ek Sitara Hun Main Sayyaron Ke Bich in PDF.