Wo Arz-e-gham Pe Mashwara-e-iKHtisar De
wo arz-e-gham pe mashwara-e-iKHtisar de
kuze mein kaise koi samundar utar de
duniya ho aaKHirat ho wo sab ko sanwar de
taufiq-e-ishq jis ko bhi parwardigar de
phir dawat-e-karam nigah-e-shoala-bar de
allah mustaqil mujhe sabr-o-qarar de
jis phul ka bhi dekhiye daman hai tar tar
kitna baDa sabaq hamein fasl bahaar de
dard-e-jigar shikasta-dili be-qarariyan
kya kya na lutf mujh ko tera intizar de
waiz use batao na jannat ke tum maze
KHuld-e-barin ka lutf jise ku-e-yar de
kangan udhar kalai mein ghuma to yun laga
aawaz mujh ko gardish-e-lail-o-nahaar de
chehre pe wo sajae hai masumiyat ka nur
ab kaun us ko zahmat-e-bos-o-kanar de
main hun shahid-e-rah-e-mohabbat magar 'alim'
mera ghalat pata meri lauh-e-mazar de
(842) Peoples Rate This