Tere Chand Jaise RuKH Par Ye Nishan-e-dard Kyun Hain
tere chand jaise ruKH par ye nishan-e-dard kyun hain
tere surKH aarizon ke ye gulab zard kyun hain
tujhe kya hua hai aaKHir mujhe kam se kam bata to
teri sans tez kyun hai tere hath sard kyun hain
tujhe na-pasand jo the wahi be-wiqar rahte
jo aziz the tujhe wo tere dar ki gard kyun hain
wo kitab lao jis mein hai bayan shan-e-qaumi
mere daur ki ye qaumen ba-giraft-e-fard kyun hain
mujhe shak guzar raha hai teri chaara-saziyon par
ai masih-e-waqt batla ye dilon mein dard kyun hain
jinhen yaad the fasane bahut apne bazuon ke
ai 'alim' muzmahil se wo dam-e-nabard kyun hain
(934) Peoples Rate This