Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_2e469099a16990cbd094959af71c6416, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Sisakta ChiKHta Ehsas Tha Mere Andar - Aleem Saba Navedi Poetry In English - Darsaal

Sisakta ChiKHta Ehsas Tha Mere Andar

sisakta chiKHta ehsas tha mere andar

kabhi to jhank ke wo dekhta mere andar

kisi ke lams ki KHwahish na faslon ki kasak

ye kaisa zahr uchhaala gaya mere andar

wo ek shaKHs jise DhunDna bhi mushkil tha

baDe KHulus se rahne laga mere andar

lahu ki sukhi hui jhil mein utar kar yun

talash kis ko wo karta raha mere andar

ye mera dil bhi sarapa mazar sa hai 'saba'

lagao katba kisi nam ka mere andar

(810) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sisakta ChiKHta Ehsas Tha Mere Andar In English By Famous Poet Aleem Saba Navedi. Sisakta ChiKHta Ehsas Tha Mere Andar is written by Aleem Saba Navedi. Read famous Poem Sisakta ChiKHta Ehsas Tha Mere Andar for youth and Student by Aleem Saba Navedi. Free Download Sisakta ChiKHta Ehsas Tha Mere Andar in PDF.