Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_23f9b5713be887be72fdd25cb4898f1b, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Main Jis Ka Muntazir Hun Wo Manzar Pukar Le - Aleem Saba Navedi Poetry In English - Darsaal

Main Jis Ka Muntazir Hun Wo Manzar Pukar Le

main jis ka muntazir hun wo manzar pukar le

shayad nikal ke jism se bahar pukar le

main le raha hun jaeza har ek lahar ka

kya jaane kab ye mujh ko samundar pukar le

sadiyon ke darmiyan hun main bhi to ek sadi

ek bar mujh ko apna samajh kar pukar le

main phir raha hun shahr mein saDkon pe ghaaliban

aawaz de ke mujh ko mera ghar pukar le

shishe ki tarah waqt ke hathon mein hun hanuz

kab jaane hadsat ka patthar pukar le

wo lamha jis ki zehn-e-'saba' ko talash hai

rone ke ehtimam mein hans kar pukar le

(787) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main Jis Ka Muntazir Hun Wo Manzar Pukar Le In English By Famous Poet Aleem Saba Navedi. Main Jis Ka Muntazir Hun Wo Manzar Pukar Le is written by Aleem Saba Navedi. Read famous Poem Main Jis Ka Muntazir Hun Wo Manzar Pukar Le for youth and Student by Aleem Saba Navedi. Free Download Main Jis Ka Muntazir Hun Wo Manzar Pukar Le in PDF.