Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_16b3e29970d7f15e27ef94443370dc40, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Chale Bazm-e-dauran Se Jab Zahr Pi Ke - Aleem Masroor Poetry In English - Darsaal

Chale Bazm-e-dauran Se Jab Zahr Pi Ke

chale bazm-e-dauran se jab zahr pi ke

baDhe hausle aur bhi zindagi ke

fasanon se meri hi aawargi ke

muayyan hue raste zindagi ke

zamane ko dun kya ki daman mein mere

faqat chand aansu hain wo bhi kisi ke

nigah-e-karam ki zarurat nahin hai

zara dekh lun be-sahaare bhi ji ke

hain 'masrur' aankhen tumhaari jo pur-nam

batao ye aansu hain gham ya KHushi ke

(719) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Chale Bazm-e-dauran Se Jab Zahr Pi Ke In English By Famous Poet Aleem Masroor. Chale Bazm-e-dauran Se Jab Zahr Pi Ke is written by Aleem Masroor. Read famous Poem Chale Bazm-e-dauran Se Jab Zahr Pi Ke for youth and Student by Aleem Masroor. Free Download Chale Bazm-e-dauran Se Jab Zahr Pi Ke in PDF.