Wo Kya Gae Payam-e-safar De Gae Mujhe
wo kya gae payam-e-safar de gae mujhe
ek jazba-e-junun-e-asar de gae mujhe
har samt dekhti hai jo un ke jamal ko
wo ek nigah-e-jalwa-nagar de gae mujhe
har-chand karb-e-marg hai mahsus har nafas
lutf-e-hayat-e-ishq magar de gae mujhe
taswir-e-huzn-o-yas bana kar chale gae
lab-ha-e-KHushk o dida-e-tar de gae mujhe
bedar kar gae sahar-o-sham-e-zindagi
aah-o-fughan-e-sham-o-sahar de gae mujhe
jamti nahin nigah kisi chiz par bhi ab
ek KHiragi-e-tab-e-nazar de gae mujhe
arz-e-hadis-e-shauq pe sharma ke rah gae
kitna hasin jawab magar de gae mujhe
mere sukun-e-qalb ko le kar chale gae
aur iztirab-e-dard-e-jigar de gae mujhe
mahrum-e-shash-jahat nigahon ko kar gae
bas ek nigah-e-jaanib-e-dar de gae mujhe
'aKHtar' wo aae aur chale bhi gae magar
ek lutf-e-iztirab-e-asar de gae mujhe
(698) Peoples Rate This