Mohabbat Ka Rag-o-pai Mein Meri Ruh-e-rawan Hona
mohabbat ka rag-o-pai mein meri ruh-e-rawan hona
mubarak har nafas ko ek hayat-e-jawedan hona
hamare dil ko aae kis tarah phir shadman hona
teri nazron ne sikha hi nahin jab mehrban hona
tere kuche mein hona us pe tera aastan hona
mubarak tere kuche ki zamin ko aasman hona
ye haalat hai ki bedari bhi hai ek KHwab ka aalam
maaz-allah apna KHugar-e-KHwab-e-giran hona
use KHush kar sakengi kya bahaaren zindagani ki
chaman mein jis ne dekha ho bahaaron ka KHizan hona
jo bad-qismat tere gham ki masarrat se hain na-waqif
wo kya jaanen kise kahte hain dil ka shadman hona
mujhe aankhen dikhaegi bhala kya gardish-e-dauran
meri nazron ne dekha hai tera na-mehrban hona
jabin o aastan ke darmiyan sajde hon kyun hail
jabin ko ho mayassar kash jazb-e-astan hona
hawas-karan-e-ishrat aah kya samjhenge ai 'aKHtar'
bahut dushwar hai zauq-e-alam ka raaz-dan hona
(856) Peoples Rate This