Chale The Bhar Ke Ret Jab Safar Ki Jism-o-jaan Mein Hum

chale the bhar ke ret jab safar ki jism-o-jaan mein hum

to sahilon ka aks dekhte the baadban mein hum

tuyur the jo ghonslon mein paikaron ke uD gae

akele rah gae hain apne KHwab ke makan mein hum

hamari justuju bhi ab to ho gai hai gard gard

ki naqsh-e-pa ko DhunDte hain rah ke har nishan mein hum

ishaariyat thi be-zaban tha lafz lafz dastan

sunate kis tarah ki gum the KHud hi dastan mein hum

baras rahi hai aasman se misl-e-sang tirgi

khaDe hain kab se teri aarzu ke saeban mein hum

zamin ka dard be-badan bhi ho ke apne dil mein tha

tabhi to khinch ke aa gae the warna aasman mein hum

nafas nafas hai zindagi ka karobar muntashar

diwaliya hue ki jab se aae is jahan mein hum

(919) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Chale The Bhar Ke Ret Jab Safar Ki Jism-o-jaan Mein Hum In English By Famous Poet Aleem Afsar. Chale The Bhar Ke Ret Jab Safar Ki Jism-o-jaan Mein Hum is written by Aleem Afsar. Read famous Poem Chale The Bhar Ke Ret Jab Safar Ki Jism-o-jaan Mein Hum for youth and Student by Aleem Afsar. Free Download Chale The Bhar Ke Ret Jab Safar Ki Jism-o-jaan Mein Hum in PDF.