Ban Ke Sahil Ki Nigahon Mein Tamasha Hum Log

ban ke sahil ki nigahon mein tamasha hum log

naqsh-e-pa DhunD rahe hain sar-e-dariya hum log

sae chhuTe to pighalne lage phir dhup mein jism

kash hote na kabhi KHud se shanasa hum log

hum ko nafrat hai andheron se magar kya kije

ki ujalon se bhi rakhte nahin rishta hum log

kuchh nazar aata nahin jin mein dhundlakon ke siwa

karte rahte hain unhin KHwabon ke dar wa hum log

zehn par bar hai aankhon ka muqaddar hai thakan

KHwab agar dekhte bhi hain to adhura hum log

apni hi aankhon se girte hue dekha jis ko

DhunDhte kyun usi diwar ka saya hum log

(785) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ban Ke Sahil Ki Nigahon Mein Tamasha Hum Log In English By Famous Poet Aleem Afsar. Ban Ke Sahil Ki Nigahon Mein Tamasha Hum Log is written by Aleem Afsar. Read famous Poem Ban Ke Sahil Ki Nigahon Mein Tamasha Hum Log for youth and Student by Aleem Afsar. Free Download Ban Ke Sahil Ki Nigahon Mein Tamasha Hum Log in PDF.