Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_bf807fb242ee68a2d1f192c0e3d61ca7, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
UThte Hue Tufan Ka Manzar Nahin Dekha - Alamtaab Tishna Poetry In English - Darsaal

UThte Hue Tufan Ka Manzar Nahin Dekha

uThte hue tufan ka manzar nahin dekha

dekho mujhe gar tum ne samundar nahin dekha

guzra hua lamha tha ki bahta hua dariya

phir meri taraf us ne palaT kar nahin dekha

ek dasht mila kucha-e-jaanan se nikal kar

hum ne to kabhi ishq ko be-ghar nahin dekha

the sang to betab bahut naqsh-gari ko

hum ne hi unhen aankh uTha kar nahin dekha

ek umr se hai jo meri wahshat ka Thikana

KHushiyon ki tarah tu ne bhi wo ghar nahin dekha

nafrat bhi usi se hai parastish bhi usi ki

is dil sa koi hum ne to kafar nahin dekha

KHwahish ko yahan hasb-e-zarurat nahin paya

hasil ko yahan hasab-e-muqaddar nahin dekha

har haal mein dekha hai use zabt ka paikar

'tishna' ko kabhi zarf se bahar nahin dekha

(1445) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

UThte Hue Tufan Ka Manzar Nahin Dekha In English By Famous Poet Alamtaab Tishna. UThte Hue Tufan Ka Manzar Nahin Dekha is written by Alamtaab Tishna. Read famous Poem UThte Hue Tufan Ka Manzar Nahin Dekha for youth and Student by Alamtaab Tishna. Free Download UThte Hue Tufan Ka Manzar Nahin Dekha in PDF.