Siwae-dar-ba-dari Usko KHak Milta Hai
siwae-dar-ba-dari us ko KHak milta hai
jo aasman se apni zamin badalta hai
main jab bhi ghar se nikalta hun raat ko tanha
charagh le ke koi sath sath chalta hai
ajib hota hai nazzargan-e-shauq ka haal
rida-e-mah pahan kar wo jab nikalta hai
baru-e-chashm rida-e-hijab tan li jae
wo zer-e-saya-e-gul pairahan badalta hai
fareb-e-qurb to dekho ki mere pahlu mein
tamam raat koi karwaTen badalta hai
guzar dete hain aawara-gard aag ke gird
jo be-Thikana hain un ka bhi kaam chalta hai
hamare dam se bhi hai mausamon ki gul-kari
charagh-e-lala mein dil ka lahu bhi jalta hai
main wo shahid-e-wafa hun ki qatl kar ke mujhe
mera ghanim tassuf se hath malta hai
hamein nasib hua aisi manzilon ka safar
qadam qadam pe jahan rasta badalta hai
hawa-e-daman-e-rangin ye kah gai 'tishna'
hamare samne kis ka charagh jalta hai
(807) Peoples Rate This