Safar Mein Rah Ke Aashob Se Na Dar Jaana
safar mein rah ke aashob se na Dar jaana
paDe jo aag ka dariya to par kar jaana
ye ek ishaara hai aafat-e-na-gahani ka
kisi maqam se chiDiyon ka kuch kar jaana
ye intiqam hai dasht-e-bala se baadal ka
samundaron pe baraste hue guzar jaana
tumhaara qurb bhi duri ka istiara hai
ki jaise chand ka talab mein utar jaana
tulu-e-mahr-e-daraKHshan ki ek alamat hai
uThae sham-e-yaqin us ka dar par jaana
the razm-gah-e-mohabbat ke bhi ajab andaz
usi ne war kiya jis ne be-sipar jaana
har ek nafas pe guzarta hai ye guman jaise
charagh le ke hawaon se jang par jaana
hum apne ishq ki ab aur kya shahadat den
hamein hamare raqibon ne mo'tabar jaana
mere yaqin ko baDa bad-guman kar ke gaya
dua-e-nim-shabi tera be-asar jaana
har ek shaKH ko pahna gaya numu ka libas
safir-e-mausam-e-gul ka shajar shajar jaana
zamana bit gaya tark-e-ishq ko 'tishna'
magar gaya na hamara idhar udhar jaana
(1885) Peoples Rate This