Meri Dastaras Mein Hai Gar Qalam Mujhe Husn-e-fikr-o-KHayal De
meri dastaras mein hai gar qalam mujhe husn-e-fikr-o-KHayal de
mujhe shahryar-e-suKHan bana aur enan-e-shahr-e-kamal de
meri shaKH-e-sher rahe hari de mere suKHan ko sanobari
meri jhil mein bhi kanwal khila meri gudDiyon ko bhi lal de
teri baKHshishon mein hai sarwari mere ishq ko de qalandari
jo uThe to dast-e-dua lage mujhe aisa dast-e-sawal de
rag-e-jaan mein jamne laga lahu use mushk banne ki aarzu
hai udas dasht-e-tatar-e-dil use phir shalang-e-ghazal de
koi baat aqrab-o-shams ki koi zikr-e-zohra-o-mushtari
tu baDa sitara-shanas hai mujhe koi achchhi si fal de
hain ye jism-o-jaan ki quyud kya KHad-o-KHal ke ye hudud kya
main hun aks-e-manzar-e-mawara mujhe aainon se nikal de
main wahi hun 'tishna'-e-ba-wafa mera aaj bhi wahi muddaa
na firaq de mujhe mustaqil na mujhe hamesha visal de
(1108) Peoples Rate This