Hisar-e-maqtal-e-jaan Mein Lahu Lahu Main Tha
hisar-e-maqtal-e-jaan mein lahu lahu main tha
rasan rasan meri wahshat gulu gulu main tha
jo rah gaya nigah-e-sozan-e-mashiyyat se
qaba-e-zist ka wo chaak-e-be-rafu main tha
zamana hansta raha meri KHud-kalami par
tere KHayal se masruf-e-guftugu main tha
tha aaine mein shikast-e-ghurur-e-yaktai
ki apne aks ke parde mein hu-ba-hu main tha
tu apni zat ke har pech-o-KHam se puchh ke dekh
qadam qadam meri aahaT thi ku-ba-ku main tha
har ek wadi-o-kohsar se guzarta hua
jo aabshaar bana tha wo aabju main tha
KHutan KHutan thi shalang-e-ghazal mere liye
badan badan mera nashsha subu subu main tha
tamam umr ki diwangi ke baad khula
main teri zat mein pinhan tha aur tu main tha
maal-e-umr-e-mohabbat hai bas yahi 'tishna'
meri talash tha wo us ki justuju main tha
(835) Peoples Rate This