Dard Ki Ek Lahr Bal Khati Hai Yun Dil Ke Qarib
dard ki ek lahr bal khati hai yun dil ke qarib
mauj-e-sar-gashta uThe jis tarah sahil ke qarib
ma-siwa-e-kar-ah-o-ashk kya hai ishq mein
hai sawad-e-ab-o-atish dida-o-dil ke qarib
dard mein Dubi hui aati hai aawaz-e-jaras
giriya-e-gum-gashtagi sunta hun manzil ke qarib
aarzu nayaft ki hai silsila-dar-silsila
hai numud-e-karb-e-la-hasil bhi hasil ke qarib
kuchh to ai nazzargan-e-aish-e-sahil boliye
kashtiyan kitni huin gharqab sahil ke qarib
hai abhi wamandgi ko ek safar darpesh aur
hai abhi uftad-e-manzil aur manzil ke qarib
rang-e-hasrat ka tamasha dekhna tha gar tumhein
raqs-e-aKHir dekhte tum aa ke bismil ke qarib
hain wo sab 'tishna' sar-e-manzil amir-e-karwan
jo mile the karwan se aa ke manzil ke qarib
(873) Peoples Rate This