Aaina-KHana Bhi Andoh-e-tamanna Nikla
aaina-KHana bhi andoh-e-tamanna nikla
ghaur se dekha to apna hi tamasha nikla
zindagi mahfil-e-shab ki thi pas-andaz-e-sharab
pine baiThe to bas ek ghunT zara sa nikla
phir chala mausam-e-wahshat mein sar-e-maqtal-e-ishq
qura-e-fal mere nam dobara nikla
dad-e-shaistagi-e-gham ki tawaqqo be-sud
dil bhi kam-baKHt taraf-dar usi ka nikla
hai ajab tarz ka rahraw dil-e-shorida-qadam
jab bhi nikla safar-e-ishq pe tanha nikla
wo raqibon ka pata puchhne aae mere ghar
koi to un se mulaqat ka rasta nikla
dar-ba-dar KHwar hue phirte hain hum hijr-nasib
jaan-sipari ka bhi kya KHub natija nikla
dil mein uThte rahe yaadon ke bagule 'tishna'
mujh mein simTa hua ek dard ka sahra nikla
(841) Peoples Rate This