Urdu
farogh-e-chashm hai taskin-e-dil hai be-guman urdu
har ek aalam mein hai goya bahaar-e-gul-fishan urdu
koi dekhe to is ki quwwat-e-taKHliq ka aalam
bana sakti hai zer-e-charKH lakhon aasman urdu
muqallid jo nahin is ka wo pahunchega na manzil par
sar-e-har-jada-e-manzil hai mir-e-karwan urdu
muhafiz apni quwwat se hai tahzib-o-tamaddun ki
na kyun ho irtiqa-e-zindagi ki raaz-dan urdu
gulistan-e-adab mein jis qadar the muntashir jalwe
munazzam kar chuki hai un ko misl-e-jism-o-jaan urdu
faza-e-ilm-o-fan par ye misal-e-abr chhai hai
mazaq-e-justuju ban kar rag-e-dil mein samai hai
zabanen aur bhi duniya mein kuchh garmi-e-mahfil hain
magar manzil hai urdu aur wo sab gard-e-manzil hain
har ek andaz raushan har bayan pur-kaif hai is ka
adaen jis qadar bhi hain wo sharh-e-jazba-e-dil hain
zamin-e-sher is ki ek chaman-zar-e-mohabbbat hai
hain jitne git wo sab naghma-e-fitrat ka hasil hai
riyazi ho ki mantiq falsafa ho ya tasawwuf ho
sab is ki bazm mein maujud hain aur jaan-e-mahfil hain
mili hain jalwa-e-fitrat ki sab ranginiyan is ko
muraqqe is ke sine se laga lene ke qabil hain
riwaj is ka jahan ki wusaton mein be-takalluf hai
ye pakiza zaban hai aur latif is ka tasarruf hai
miTa sakta hai kaun aisi zaban-e-pak-fitrat ko
daya dars-e-wafa jis ne mazaq-e-mulk-o-millat ko
jumud-e-zindagi mein hashr barpa kar diya is ne
ata ki hain isi ne bijliyan ehsas-e-ulfat ko
nizam-e-zindagani par baDa ehsan hai is ka
bahut aasaniyan is mein milen tabligh-e-fitrat ko
rahe shan-e-talaqat lafz-o-mani hain ki gul-buTe
zahe auj-e-hazaqat jaan de di murda hikmat ko
ye mumkin hai ki qaumon ko miTa de gardish-e-alam
magar koi miTa sakta nahin urdu ki azmat ko
har ek tahrik is ki tarjuman jazb-e-kaamil hai
ki har aahang-e-urdu hamnawa-e-barbat-e-dil hai
(726) Peoples Rate This