Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_d42754ae6cef1c26d36f71a7d7c8b376, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Tere KHayal Ko Zanjir Karta Rahta Hun - Alam Khursheed Poetry In English - Darsaal

Tere KHayal Ko Zanjir Karta Rahta Hun

tere KHayal ko zanjir karta rahta hun

main apne KHwab ki tabir karta rahta hun

tamam rang adhure lage tere aage

so tujh ko lafz mein taswir karta rahta hun

jo baat dil se zaban tak safar nahin karti

usi ko sher mein tahrir karta rahta hun

dukhon ko apne chhupata hun main dafinon sa

magar KHushi ko hama-gir karta rahta hun

guzishta rut ka amin hun nae makan mein bhi

purani inT se tamir karta rahta hun

mujhe bhi shauq hai duniya ko zer karne ka

main apne aap ko tasKHir karta rahta hun

zamin hai ki badalti nahin kabhi mehwar

main kaisi kaisi tadabir karta rahta hun

jo main hun us ko chhupata hun sare aalam se

jo main nahin hun wo tashhir karta rahta hun

(818) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tere KHayal Ko Zanjir Karta Rahta Hun In English By Famous Poet Alam Khursheed. Tere KHayal Ko Zanjir Karta Rahta Hun is written by Alam Khursheed. Read famous Poem Tere KHayal Ko Zanjir Karta Rahta Hun for youth and Student by Alam Khursheed. Free Download Tere KHayal Ko Zanjir Karta Rahta Hun in PDF.