Tah-ba-tah Hai Raaz Koi Aab Ki Tahwil Mein
tah-ba-tah hai raaz koi aab ki tahwil mein
KHamushi yun hi nahin rahti hai gahri jhil mein
main ne bachpan mein adhura KHwab dekha tha koi
aaj tak masruf hun us KHwab ki takmil mein
har ghaDi ahkaam jari karta rahta hai ye dil
hath bandhe main khaDa hun hukm ki tamil mein
kab meri marzi se koi kaam hota hai tamam
har ghaDi rahta hun main kyun be-sabab tajil mein
mangti hai ab mohabbat apne hone ka subut
aur main jata nahin izhaar ki tafsil mein
muddaa tera samajh leta hun teri chaal se
tu pareshan hai abas alfaz ki tawil mein
apni KHatir bhi to 'alam' chiz rakhni thi koi
ab kahan kuchh bhi bacha hai teri is zambil mein
(941) Peoples Rate This