Kis Lamhe Hum Tera Dhyan Nahin Karte
kis lamhe hum tera dhyan nahin karte
han koi ahd-o-paiman nahin karte
har dam teri mala japte hain lekin
galiyon kuchon mein elan nahin karte
apni kahani dil mein chhupa kar rakhte hain
duniya walon ko hairan nahin karte
ek kamre ko band rakha hai barson se
wahan kisi ko hum mehman nahin karte
ek jaisa dukh mil kar banTa karte hain
ek duje par hum ehsan nahin karte
kuchh raste mushkil hi achchhe lagte hain
kuchh raston ko hum aasan nahin karte
raste mein jo milta hai mil lete hain
achchhe bure ki ab pahchan nahin karte
ji karta hai bhaalu bandar nam rakhen
kaun si wahshat hum insan nahin karte
'alam' us ke phul to kab ke sukh gae
kyun taza apna gul-dan nahin karte
(1022) Peoples Rate This