Jal Bujha Hun Main Magar Sara Jahan Tak Mein Hai
jal bujha hun main magar sara jahan tak mein hai
koi tasir to maujud meri KHak mein hai
khenchti rahti hai har lamha mujhe apni taraf
jaane kya chiz hai jo parda-e-aflak mein hai
koi surat bhi nahin milti kisi surat mein
kuza-gar kaisa karishma tere is chaak mein hai
kaise Thahrun ki kisi shahr se milta hi nahin
ek naqsha jo mere dida-e-namnak mein hai
ye ilaqa bhi magar dil hi ke tabe Thahra
hum samajhte the aman gosha-e-idrak mein hai
qatl hote hain yahan nara-e-elan ke sath
waza-dari to abhi aalam-e-saffak mein hai
kitni chizon ke bhala nam tujhe ginwaun
sari duniya hi to shamil meri imlak mein hai
raegan koi bhi shai hoti nahin hai 'alam'
ghaur se dekhiye kya kya KHas-o-KHashak mein hai
(848) Peoples Rate This