Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_ca800140d9518ffef923c517bb4c2770, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Jab Tak Khuli Nahin Thi Asrar Lag Rahi Thi - Alam Khursheed Poetry In English - Darsaal

Jab Tak Khuli Nahin Thi Asrar Lag Rahi Thi

jab tak khuli nahin thi asrar lag rahi thi

ye zindagi mujhe bhi dushwar lag rahi thi

mujh par jhuki hui thi phulon ki ek Dali

lekin wo mere sar par talwar lag rahi thi

chhute hi jaane kaise qadmon mein aa giri wo

jo fasle se unchi diwar lag rahi thi

shahron mein aa ke kaise aahista-rau hua main

sahra mein tez apni raftar lag rahi thi

lahron ke jagne par kuchh bhi na kaam aai

kya chiz thi jo mujh ko patwar lag rahi thi

ab kitni kar-amad jangal mein lag rahi hai

wo raushni jo ghar mein bekar lag rahi thi

TuTa hua hai shayad wo bhi hamare jaisa

aawaz us ki jaise jhankar lag rahi thi

'alam' ghazal mein Dhal kar kya KHub lag rahi hai

jo Tis mere dil ka aazar lag rahi thi

(966) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jab Tak Khuli Nahin Thi Asrar Lag Rahi Thi In English By Famous Poet Alam Khursheed. Jab Tak Khuli Nahin Thi Asrar Lag Rahi Thi is written by Alam Khursheed. Read famous Poem Jab Tak Khuli Nahin Thi Asrar Lag Rahi Thi for youth and Student by Alam Khursheed. Free Download Jab Tak Khuli Nahin Thi Asrar Lag Rahi Thi in PDF.