Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_2eb5d29d03de184b1671ffa239fe3ced, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Har Ghar Mein Koi Tah-KHana Hota Hai - Alam Khursheed Poetry In English - Darsaal

Har Ghar Mein Koi Tah-KHana Hota Hai

har ghar mein koi tah-KHana hota hai

tah-KHane mein ek afsana hota hai

kisi purani almari ke KHanon mein

yaadon ka anmol KHazana hota hai

raat gae aksar dil ke viranon mein

ek sae ka aana jaana hota hai

baDhti jati hai bechaini naKHun ki

jaise jaise zaKHm purana hota hai

dil rota hai chehra hansta rahta hai

kaisa kaisa farz nibhana hota hai

zinda rahne ki KHatir in aankhon mein

koi na koi KHwab sajaana hota hai

tanhai ka zahr to wo bhi pite hain

jin logon ke sath zamana hota hai

sahra se basti mein aa kar bhed khula

dil ke andar hi virana hota hai

sarmasti mein yaad nahin rakhta koi

bazm se uTh kar wapas jaana hota hai

(1001) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Har Ghar Mein Koi Tah-KHana Hota Hai In English By Famous Poet Alam Khursheed. Har Ghar Mein Koi Tah-KHana Hota Hai is written by Alam Khursheed. Read famous Poem Har Ghar Mein Koi Tah-KHana Hota Hai for youth and Student by Alam Khursheed. Free Download Har Ghar Mein Koi Tah-KHana Hota Hai in PDF.