Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_57c0218fec3784da8ce2a41817946356, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Bas Ek Tere KHwab Se Inkar Nahin Hai - Alam Khursheed Poetry In English - Darsaal

Bas Ek Tere KHwab Se Inkar Nahin Hai

bas ek tere KHwab se inkar nahin hai

dil warna kisi shai ka talabgar nahin hai

aankhon mein hasin KHwab to hain aaj bhi lekin

tabir se ab koi sarokar nahin hai

dariya se abhi tak hai wahi rabt hamara

kashti mein hamari koi patwar nahin hai

hairat se nae shahr ko main dekh raha hun

diwar to hai saya-e-diwar nahin hai

is bazm ki raunaq to zara ghaur se dekho

lagta hai yahan koi dil-azar nahin hai

aae ho numaish mein zara dhyan bhi rakhna

har shai jo chamakti hai chamakdar nahin hai

kyun itna hamein apni mohabbat pe yaqin hai

duniya to mohabbat ki parastar nahin hai

(1078) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bas Ek Tere KHwab Se Inkar Nahin Hai In English By Famous Poet Alam Khursheed. Bas Ek Tere KHwab Se Inkar Nahin Hai is written by Alam Khursheed. Read famous Poem Bas Ek Tere KHwab Se Inkar Nahin Hai for youth and Student by Alam Khursheed. Free Download Bas Ek Tere KHwab Se Inkar Nahin Hai in PDF.