Main Nahin Hun Nahin Kahin Bhi Nahin
main nahin hun nahin kahin bhi nahin
ab koi aasman hai na zamin
ek duniya hui hai zer-e-nagin
shah-nashin ho gaya hai KHak-nashin
ye sukun bhi hua malal ke sath
wo bahar-taur ji raha hai yahin
bar-ha tu ne KHwab dikhlae
bar-ha hum ne kar liya hai yaqin
ek virana tha basa na kabhi
bastiyan hum se go hazar basin
jaise pani pe naqsh ho koi
raunaqen sab adam-sabaat rahin
ghurfa-e-dard kis ne khol diya
tu to ab mere aas-pas nahin
(788) Peoples Rate This