Lahu Tezab Karna Chahta Hai
lahu tezab karna chahta hai
badan ek aag dariya chahta hai
mayassar se ziyaada chahta hai
samundar jaise dariya chahta hai
ise bhi sans lene de ki har-dam
badan bahar nikalna chahta hai
mujhe bilkul ye andaza nahin tha
wo ab rasta badalna chahta hai
nai zanjir phailae hai banhen
koi aazad hona chahta hai
ruten badlin nae phal-phul aae
magar dil sab purana chahta hai
sukun kahiye jise hai raste mein
do ek pal hi mein aaya chahta hai
hawa bhi chahiye aur raushni bhi
har ek hujra daricha chahta hai
bagulon se bhara hai dasht sara
yahi to roz sahra chahta hai
(792) Peoples Rate This