Koi Ilzam Mere Nam Mere Sar Nahin Aaya
koi ilzam mere nam mere sar nahin aaya
wo jo tufan andar tha mere bahar nahin aaya
ye kis ki did ne aankhon ko bhar Dala KHala se yun
ki phir aankhon mein koi dusra manzar nahin aaya
junun-bardar koi ru-e-sahra par nahin dekha
kanar-e-abju pyasa koi lashkar nahin aaya
hui barish daraKHton ne badan se gard sab jhaDi
koi sawan koi mausam mere andar nahin aaya
kahin pathra gai aankhen kahin shal hauslon ke panw
kahin rah-rau nahin pahuncha kahin par ghar nahin aaya
kabhi kashti pe koi baadban main ne nahin rakkha
uDanon ke liye meri koi shahpar nahin aaya
nahin ho kar bhi hai har sans mein shamil muqabil bhi
magar zi-hosh kahte hain koi ja kar nahin aaya
(954) Peoples Rate This