Khuli Aur Band Aankhon Se Use Takta Raha Main Bhi
khuli aur band aankhon se use takta raha main bhi
teri duniya ke pichhe bhagta phirta raha main bhi
meri aawaz pichhli raat tujh tak kaise aa pati
kisi gahre kuen mein raat bhar sota raha main bhi
ba-zahir dekhti aankhen ba-zahir jagti ruhen
ba-zahir in sabhon ke sath hi jita raha main bhi
main hun is karsaz-e-be-kasan ki dastaras mein yun
wo jis sanche mein bhi Dhaala kiya Dhalta raha main bhi
badan malbus mein shoala sa ek larzan qarin-e-jaan
dil-e-KHashak bhi shoala hua jalta raha main bhi
hai jis rah-e-yaqin par gamzan pa-e-KHirad har-dam
usi rah-e-guman par muddaton chalta raha main bhi
(778) Peoples Rate This