Ai Abr-e-iltifat Tera Etibar Phir
ai abr-e-iltifat tera e'tibar phir
aankhon mein phir wo pyas wahi intizar phir
rakhkhun kahan pe panw baDhaun kidhar qadam
raKHsh-e-KHayal aaj hai be-iKHtiyar phir
dast-e-junun-o-panja-e-wahshat chihaar-samt
be-barg-o-bar hone lagi hai bahaar phir
paspaiyon ne gaD diye dant pusht par
yun daman-e-ghurur hua tar tar phir
nishtar teri zaban hi nahin KHamshi bhi hai
kuchh rah-guzar-e-rabt hui KHar-zar phir
mujh mein koi sawal tere ma-siwa nahin
mujh mein yahi sawal hua ek bar phir
(679) Peoples Rate This