Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_ef4d9a8601a6ba0bffffc2a3005f978d, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Yun Hi Rakkhoge Imtihan Mein Kya - Akram Mahmud Poetry In English - Darsaal

Yun Hi Rakkhoge Imtihan Mein Kya

yun hi rakkhoge imtihan mein kya

nahin aaegi jaan jaan mein kya

kyun sada ka nahin jawab aata

koi rahta nahin makan mein kya

ek zamana hai ru-ba-ru mere

tum na aaoge darmiyan mein kya

wo jo qisse dilon ke andar hain

wo bhi laoge darmiyan mein kya

kis qadar talKHiyan hain lahje mein

zahr bote ho tum zaban mein kya

dil ko shikwa nahin koi tum se

hum ne rahna nahin jahan mein kya

wo jo ek lafz e'tibar ka tha

ab nahin hai wo darmiyan mein kya

mere KHwabon ke jo parinde the

hain abhi tak teri aman mein kya

ab to ye bhi nahin KHayal aata

chhoD aae the is jahan mein kya

ye bakheDa jo zindagi ka hai

chhoD dun us ko darmiyan mein kya

chand wade the chand dawe the

aur rakha tha dastan mein kya

jaane wo dil tha ya diya koi

raat jalta tha shama-dan mein kya

(737) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Yun Hi Rakkhoge Imtihan Mein Kya In English By Famous Poet Akram Mahmud. Yun Hi Rakkhoge Imtihan Mein Kya is written by Akram Mahmud. Read famous Poem Yun Hi Rakkhoge Imtihan Mein Kya for youth and Student by Akram Mahmud. Free Download Yun Hi Rakkhoge Imtihan Mein Kya in PDF.