Ab Dil Bhi Dukhao To Aziyyat Nahin Hoti
ab dil bhi dukhao to aziyyat nahin hoti
hairat hai kisi baat pe hairat nahin hoti
ab dard bhi ek had se guzarne nahin pata
ab hijr mein wo pahli si wahshat nahin hoti
hota hai to bas ek tere hijr ka shikwa
warna to hamein koi shikayat nahin hoti
kar deta hai be-saKHta banhon ko kushada
jab bach ke nikal jaane ki surat nahin hoti
dil KHush jo nahin rahta to is ka bhi sabab hai
maujud koi wajh-e-masarrat nahin hoti
yun bar-sar-e-paikar hun main KHud se musalsal
ab us se ulajhne ki bhi fursat nahin hoti
ab yun bhi nahin hai ki wo achchha nahin lagta
yun hai ki mulaqat ki surat nahin hoti
ye hijr-e-musalsal ka wazifa hai meri jaan
ek tark-e-sukunat hi to hijrat nahin hoti
do chaar baras jitne bhi hain jabr hi sah len
is umr mein ab hum se baghawat nahin hoti
(1542) Peoples Rate This