Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_cd690816d42d756e585a0d451e1eb359, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Silsile Hadson Ke Dhyan Mein Rakh - Akmal Imaam Poetry In English - Darsaal

Silsile Hadson Ke Dhyan Mein Rakh

silsile hadson ke dhyan mein rakh

umr-bhar KHud ko imtihan mein rakh

mang bharte hain jo salibon ki

un farishton ko aasman mein rakh

jaane kis moD se guzarna ho

ajnabi raste guman mein rakh

zindagi ke bahut qarib na ja

fasla kuchh to apne dhyan mein rakh

be-hison par bhi jo garan guzrin

aise jumlon ko dastan mein rakh

aaKHiri tir ki tarah KHud ko

khinch kar waqt ki kaman mein rakh

jism ehsas ke chaTaKH jaen

aise but kanch ki dukan mein rakh

pi ke kuchh tajrabon ka zahr 'akmal'

muKHtalif zaiqe zaban mein rakh

(718) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Silsile Hadson Ke Dhyan Mein Rakh In English By Famous Poet Akmal Imaam. Silsile Hadson Ke Dhyan Mein Rakh is written by Akmal Imaam. Read famous Poem Silsile Hadson Ke Dhyan Mein Rakh for youth and Student by Akmal Imaam. Free Download Silsile Hadson Ke Dhyan Mein Rakh in PDF.